Kya the hum or kya baan gae.
Kya se kya bana diya,
Ek kaanta tha mein mujhko fool bana diya,
Fir us fool ko ek pal mein dool bana diya,
Kya se kya bana diya,
Pehle is kadar roshan mujhe kar diya,
fir meri zindagi ka diya he bhuja diya,
Kya se kya bana diya,
Zindagi itni khaas to nahi thi,
Par itni bhi bakwaas nahi thi,
Tune to mujhe jina he bhula diya,
Kya se kya bana diya,
Pehle to khali waqt mein has leta tha,
Kabhi kabaar mein jee bhi leta tha,
Aab to sara waqt he tune khali karwa diya,
Kya se kya bana diya,
Kabhi tune kaha tha mujse payar ka ijhaar karna chaiye,
Or jab chahne laga tujhe to tune kehne ka bhi waqt na diya,
Kya se kya bana diya,
Kabhi kehti thi 7 din bin tumhare 7 janmon se kam nahi honge,
Or aaj intezaar karwa k har pal ko 7 janamon se bada bana diya,
Kya se kya bana diya,
Har baar saath saath chale ki baaten karti thi,
Jab humne saath chalne ka maan banaya tho,
Tune har kadam ko ek lamba faasla bana diya,
Kya se kya bana diya,
Kehti thi aap me ek humsafar dikhta hai,
Or jab waqt aaya humsafar banane ka to,
Humsafer to door bhari mehfil me tanha bana diya,
Kya se kya bana diya,
Aab kya kahun tujse or kya mangu tere liye aapne raab se,
Tere liye to duaa he nikli hai or duaa he niklegi mere dil se
Par Sawaal karta rehega dil mera kyun tune mujhe ek pal mein gair bana diya,
Kya se kya bana diya.
Kya the hum or kya baan gae.
Also Read – बिच्छरण | Real Shayari
Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm
Browse more content – http://www.needtricks.com
Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/
https://www.facebook.com/RealShaayari