koi ummid bar nahin aati | Mirza Ghalib

koi ummid bar nahin aati | Mirza Ghalib

 

koī ummīd bar nahīñ aatī

koī sūrat nazar nahīñ aatī

 

maut ek din muayyan hai

niind kyuuñ raat bhar nahīñ aatī

 

aage aatī thī hāl-e-dil pe hañsī

ab kisī baat par nahīñ aatī

 

jāntā huuñ savāb-e-tā.at-o-zohd

par tabī.at idhar nahīñ aatī

 

hai kuchh aisī baat jo chup huuñ

varna kyā baat kar nahīñ aatī

 

kyuuñ na chīḳhūñ ki yaad karte haiñ

merī āvāz gar nahīñ aatī

 

dāġh-e-dil gar nazar nahīñ aatā

bhī ai chārā-gar nahīñ aatī

 

ham vahāñ haiñ jahāñ se ham ko bhī

kuchh hamārī ḳhabar nahīñ aatī

 

marte haiñ aarzū meñ marne

maut aatī hai par nahīñ aatī

 

kā’ba kis muñh se jāoge ‘ġhālib’

sharm tum ko magar nahīñ aatī

koi ummid bar nahin aati | Mirza Ghalib

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *