Kahte Hain Har Baat Juban Se Ham Ishara Nahin Karte,
Aasman Pe Chalne Wale Jameen Se Gujara Nahin Karte,
Har Haalaat Ko Badalne Ki Himmat Hai Ham Me,
Waqt Ka Har Faisla Ham Gawaara Nahin Karte,
Kahte Hain Har Baat Juban Se Ham Ishara Nahin Karte.
Koshish Yehi Rahti Hai Ki
Humse Kabhi Koi Ruthe Na,
Magar Nazar Andaaz Karne Wale Ko
Palat Kar Hum Bhi Nahi Dekhte.
Chamak Suraj Ki Nahi Mere Kirdaar Ki Hai,
Khabar Ye Aasmaan Ke Akhbaar Ki Hai,
Main Chalun To Mere Sang Kaarwa Chale,
Baat Gurur Ki Nahi Aitbaar Ki Hai.
Mujhse Nafrat Hi Karni Hai
To Iraade Majboot Rakhna,
Jara Se Bhi Agar Chuke
To Fir Mohabbat Ho Jayegi.
Aankh Uthakar Bhi Na Dekhun,
Jisse Mera Dil Na Mile,
Jabaran Sabse Haath Milana,
Mere Bas Ki Baat Nahin.
Anjaam Ki Parwaah Hoti To,
Hum Mohabbat Karna Chhod Dete,
Mohabbat Me To Zid Hoti Hai,
Aur Zid Ke Bade Pakke Hain Hum.
Jo Hukm Karta Hai Wo iltija Bhi Karta Hai,
Aasman Bhi Kahi Jaakar Jhuka Karta Hai,
Agar Tu Bewafa Hai To Ye Bhi Sun Le,
Intezar Mera Koi Waha Bhi Karta Hai.
Ret Par Naam Kabhi Likhte Nahi,
Ret Par Naam Kabhi Tikte Nahi,
Ki Hum Patthar Dil Hain, Lekin
Pattharo Par Likhe Naam Kabhi Mitte Nahi.
Suraj, Chand Aur Sitare Mere Saath Me Rahen,
Jab Tak Tera Haath Mere Haath Me Rahe,
Shakhon Se Jo Toot Jaye Wo Patta Nahi Hain Hum,
Aandhi Se Koi Keh De Ke Aukaat Me Rahen.
Also Read – Tu Iss Kadar Mujhe Apne Kareb Lagta Hai
Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm
Browse more content – http://www.needtricks.com
Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/
https://www.facebook.com/RealShaayari
Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA