kabhī pukār ke dekhā kabhī bulāe to
hudūd-e-zāt se aage nikal ke aae to
pilā rahā hai nigāhoñ ko tīrgī kā lahū
fasīl-e-jāñ pe vo koī diyā jalā.e to
sajā.e rakkhūñgī apne gumān kī duniyā
mire yaqīn kī manzil pe koī aae to
ye āñkheñ niiñd ko tarsī huī haiñ muddat se
vo ḳhvāb-zār-e-shabistāñ koī dikhā.e to
ġhurūr ishq ke ādāb siikh jāegā
kabhī vo ruuTh ke dekhe kabhī manā.e to
havā kī chaap meñ shāmil haiñ āhaTeñ us kī
salīqa dil ko dhadakne kā bhī sikhāe to
kabhī pukār ke dekhā kabhī bulāe to
AASNATH KANWAL
Also Read – आप की याद आती रही | Real ShayHonthon pe kabhi un ke mera nam hi aaye | Real Shayari
Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm
Browse more content – http://www.needtricks.com
Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/
https://www.facebook.com/RealShaayari