Jab tak dahān-e-zaḳhm na paidā kare koī
Mushkil ki tujh se rāh-e-suḳhan vā kare koī
Aalam ġhubār-e-vahshat-e-majnūñ hai sar-ba-sar
Kab tak ḳhayāl-e-turra-e-lailā kare koī
Afsurdagī nahīñ tarab-inshā-e-iltifāt
Haañ dard ban ke dil meñ magar jā kare koī
Rone se ai nadīm malāmat na kar mujhe
Aḳhir kabhī to uqda-e-dil vā kare koī
Chāk-e-jigar se jab rah-e-pursish na vā huī
Kyā fā.eda ki jaib ko rusvā kare koī
Laḳht-e-jigar se hai rag-e-har-ḳhār shāḳh-e-gul
Tā chand bāġh-bāni-e-sahrā kare koī
Nākāmi-e-nigāh hai barq-e-nazārā-soz
tū vo nahīñ ki tujh ko tamāshā kare koī
Har sañg o ḳhisht hai sadaf-e-gauhar-e-shikast
Nuqsāñ nahīñ junūñ se jo saudā kare koī
Sar bar huī na vāda-e-sabr-āzmā se umr
Fursat kahāñ ki terī tamannā kare koī
hai vahshat-e-tabī.at-e-ījād yās-ḳhez
He dard vo nahīñ ki na paidā kare koī
Bekāri-e-junūñ ko hai sar pīTne kā shuġhl
Jab haath TuuT jaa.eñ to phir kyā kare koī
Husn-e-faroġh-e-shamma-e-suḳhan duur hai ‘asad’
Pahle Dil-e-gudāḳhta paidā kare koī
Vahshat kahāñ ki be-ḳhudī inshā kare koī
Hastī ko lafz-e-m.ani-e-anqā kare koī
Jo kuchh hai mahv-e-shoḳhi-e-abrū-e-yār hai
Añkhoñ ko rakh ke taaq pe dekhā kare koī
Arz-e-sarishk par hai fazā-e-zamāna tañg
Sahrā kahāñ ki dāvat-e-dariyā kare koī
Vo shoḳh apne husn pe maġhrūr hai ‘asad’
Dikhlā ke us ko aa.ina toḌā kare koī
Mirza Galid audios and videos |
Reading |
Audio | Video |
---|---|---|
Jab Tak Dahan-E-Zakhm Na Paida Kare Koi | ||
Tu Dost Kisu Ka Bhi Sitamgar Na Hua Tha | ||
Taghaful-Dost Hun Mera Dimagh-e-Ajz Aali Hai | ||
Ta Hum Ko Shikayat Ki Bhi Baqi Na Rahe Ja |