Jaago Manav
Uthho Toh Aise Uthho Ke Fakr Ho Bulandi Ko,
Jhuko Toh Aise Jhuko Bandgi Bhi Naaz Kare.
उठो तो ऐसे उठो कि फक्र हो बुलंदी को,
झुको तो ऐसे झुको बंदगी भी नाज़ करे।
Aaye Ho Nibhaane Ko Jab Kirdaar Zamin Par,
Kuchh Aisa Kar Chalo Ke Zamana Misaal De.
आये हो निभाने को जब, किरदार ज़मीं पर,
कुछ ऐसा कर चलो कि ज़माना मिसाल दे।
Udaasiyon Ki Wajah Toh Bahut Hai Zindgi Mein,
Par Bewajah Khush Rahne Ka Mazaa Hi Aur Hai.
उदासियों की वजह तो बहुत है जिंदगी में,
पर बेवजह खुश रहने का मजा ही और है।
Chiraagon Tak Ko Jahan Mayassar Nahi Roshni,
Lau Ummid Ki Humne Wahan Bhi Jalaaye Rakkhi.
चरागों तक को जहाँ मय्यसर नहीं रौशनी,
लौ उम्मीद की हमने वहाँ भी जलाये रक्खी।
Zindagi Ki Kharonchon Se Na Ghabraiye Janaab,
Tarash Rahi Hai Khud Zindagi Nikhar Jane Ko.
ज़िन्दगी की खरोचों से ना घबराइये जनाब,
तराश रही है खुद जिंदगी निखर जाने को।
Mushkilon Se Kah Do Uljha Na Kare Humse,
Har Haalaat Mein Jeene Ka Hunar Aata Hai Humein.
मुश्किलों से कह दो उलझा ना करे हम से,
हर हालात में जीने का हुनर आता है हमें।
Jaago Manav
Also Read – बिच्छरण | Real Shayari
Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm
Browse more content – http://www.needtricks.com
Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/
https://www.facebook.com/RealShaayari