itnā ehsān to ham par vo ḳhudārā karte
apne hāthoñ se jigar chaak hamārā karte
ham ko to dard-e-judā.ī se hī mar jaanā thā
chand roz aur na qātil ko ishāra karte
le ke jaate na agar saath vo yādeñ apnī
yaad karte unheñ aur vaqt guzārā karte
zindagī miltī jo sau baar hameñ duniyā meñ
ham to har baat ise aap pe vaarā karte
‘josh’ dhundlātā na hargiz ye mirā shīsha-e-dil
gard us kī vo agar roz utārā karte