Husn-e-mah garche ba-hañgām-e-kamāl achchhā hai
Us se merā mah-e-ḳhurshīd-jamāl achchhā hai
Bosa dete nahīñ aur dil pe hai har lahza nigāh
Jī meñ kahte haiñ ki muft aa.e to maal achchhā hai
Aur bāzār se le aa.e agar TuuT gayā
Sāġhar-e-jam se mirā jām-e-sifāl achchhā hai
Be-talab deñ to mazā us meñ sivā miltā hai
Vo gadā jis ko na ho ḳhū-e-savāl achchhā hai
Un ke dekhe se jo aa jaatī hai muñh par raunaq
Vo samajhte haiñ ki bīmār kā haal achchhā hai
Dekhiye paate haiñ ushshāq butoñ se kyā faiz
Ik barhaman ne kahā hai ki ye saal achchhā hai
Ham-suḳhan tesha ne farhād ko shīrīñ se kiyā
Jis tarah kā ki kisī meñ ho kamāl achchhā hai
Qatra dariyā meñ jo mil jaa.e to dariyā ho jaa.e
Kaam achchhā hai vo jis kā ki ma.aal achchhā hai
Khizr-sultāñ ko rakhe ḳhāliq-e-akbar sarsabz
Shaah ke baaġh meñ ye taaza nihāl achchhā hai
Ham ko ma.alūm hai jannat kī haqīqat lekin
Dil ke ḳhush rakhne ko ‘ġhālib’ ye ḳhayāl achchhā hai