Ham se khul jaao ba-vaqt-e-mai-parastī ek din
Varna ham chheḌeñge rakh kar uzr-e-mastī ek din
Gharra-e-auj-e-binā-e-ālam-e-imkāñ na ho
Is bulandī ke nasīboñ meñ hai pastī ek din
Qarz kī piite the mai lekin samajhte the ki haañ
Rañg lāvegī hamārī fāqa-mastī ek din
Naġhma-hā-e-ġham ko bhī ai dil ġhanīmat jāniye
Be-sadā ho jā.egā ye sāz-e-hastī ek din
Dhaul-dhappā us sarāpā-nāz kā sheva nahīñ
Ham hī kar baiThe the ‘ġhālib’ pesh-dastī ek din