Hujūm-e-nāla hairat ājiz-e-arz yak-afġhāñ hai
Khamoshī resha-e-sad-nīstāñ se ḳhas-ba-dandāñ hai
Takalluf-bar-taraf hai jāñ-sitāñ-tar lutf-e-bad-ḳhūyāñ
Nigāh-e-be-hijāb-e-nāz teġh-e-tez-e-uryāñ hai
Huī ye kasrat-e-ġham se talaf kaifiyat-e-shādī
Ki sub.h-e-īd mujh ko bad-tar az-chāk-e-garebāñ hai
Dil o diiñ naqd lā saaqī se gar saudā kiyā chāhe
Ki us bāzār meñ sāġhar matā-e-dast-gardāñ hai
Gham āġhosh-e-balā meñ parvarish detā hai āshiq ko
Charāġh-e-raushan apnā qulzum-e-sarsar kā marjāñ hai
Takalluf sāz-e-rusvā.ī hai ġhāfil sharm-e-ranā.ī
Dil-e-ḳhūñ-gashta dar dast-e-hinā-ālūda uryāñ hai
‘Asad’ jam.iyat-e-dil dar-kinār-e-be-ḳhudī ḳhush-tar
Do-ālam āgahī sāmān-e-yak-ḳhvāb-e-pareshāñ hai