Huī tāḳhīr to kuchh bā.is-e-tāḳhīr bhī thā
Aap aate the magar koī ināñ-gīr bhī thā
Tum se bejā hai mujhe apnī tabāhī kā gila
Us meñ kuchh shā.iba-e-ḳhūbi-e-taqdīr bhī thā
Tū mujhe bhuul gayā ho to patā batlā duuñ
Kabhī fitrāk meñ tere koī naḳhchīr bhī thā
Qaid meñ hai tire vahshī ko vahī zulf kī yaad
Haañ kuchh ik ranj-e-girāñ-bāri-e-zanjīr bhī thā
Bijlī ik kauñd ga.ī āñkhoñ ke aage to kyā
Baat karte ki maiñ lab-tishna-e-taqrīr bhī thā
Yūsuf us ko kahūñ aur kuchh na kahe ḳhair huī
Gar bigaḌ baiThe to maiñ lā.iq-e-tāzīr bhī thā
Dekh kar ġhair ko ho kyuuñ na kalejā ThanDā
Naala kartā thā vale tālib-e-tāsīr bhī thā
Peshe meñ aib nahīñ rakhiye na farhād ko naam
Ham hī āshufta-saroñ meñ vo javāñ-mīr bhī thā
Ham the marne ko khaḌe paas na aayā na sahī
Aḳhir us shoḳh ke tarkash meñ koī tiir bhī thā
PakḌe jaate haiñ farishtoñ ke likhe par nā-haq
Aadmī koī hamārā dam-e-tahrīr bhī thā
Reḳhte ke tumhīñ ustād nahīñ ho ‘Ghālib’
Kahte haiñ agle zamāne meñ koī ‘mīr’ bhī thā..