hairān haiñ lab-basta haiñ dil-gīr haiñ ġhunche

ḳhushbū kī zabānī tirā paiġhām hī aaye

lamhāt-e-masarrat haiñ tasavvur se gurezāñ

yaad aa.e haiñ jab bhī ġham-o-ālām hī aaye

tāroñ se sajā leñge rah-e-shahr-e-tamannā

maqdūr nahīñ sub.h chalo shaam hī aaye

kyā raah badalne kā gila ham-safaroñ se

jis rah se chale tere dar-o-bām hī aaye

thak-hār ke baiThe haiñ sar-e-kū-e-tamannā

kaam aa.e to phir jazba-e-nākām hī aaye

baaqī na rahe saakh ‘adā’ dasht-e-junūñ kī

dil meñ agar andesha-e-anjām hī aaye

Also Read – आप की याद आती रही | Real Shayari

Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

Browse more content – http://www.needtricks.com

Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

https://www.facebook.com/RealShaayari

Youtube – https://studio.youtube.com/channel/UCit4KK7fbOM0TUxFJNrkwtg/videos/upload?filter=%5B%5D&sort=%7B%22columnType%22%3A%22

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *