Ho ga.ī hai ġhair kī shīrīñ-bayānī kārgar
Ishq kā us ko gumāñ ham be-zabānoñ par nahīñ
Zabt se matlab bajuz vārastagī dīgar nahīñ
Dāman-e-timsāl āb-e-ā.ina se tar nahīñ
Bā.is-e-īzā hai barham-ḳhurdan-e-bazm-e-surūr
Laḳht laḳht-e-shīsha-e-ba-shkasta juz nishtar nahīñ
Dil ko iz.hār-e-suḳhan andāz-e-fat.h-ul-bāb hai
Yaañ sarīr-e-ḳhāma ġhair-az-istikāk-e-dar nahīñ