realshayari.com

Hazāroñ ḳhvāhisheñ aisī ki har ḳhvāhish pe dam nikle

Bahut nikle mire armān lekin phir bhī kam nikle

 

Dare kyuuñ merā qātil kyā rahegā us kī gardan par

Vo ḳhuuñ jo chashm-e-tar se umr bhar yuuñ dam-ba-dam nikle

Nikalnā ḳhuld se aadam kā sunte aa.e haiñ lekin

Bahut be-ābrū ho kar tire kūche se ham nikle

 

Bharam khul jaa.e zālim tere qāmat kī darāzī kā

Agar is turra-e-pur-pech-o-ḳham kā pech-o-ḳham nikle

 

Magar likhvā.e koī us ko ḳhat to ham se likhvā.e

Huī sub.h aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle

 

Huī is daur meñ mansūb mujh se bāda-ashāmī

Phir aayā vo zamāna jo jahāñ meñ jām-e-jam nikle

Huī jin se tavaqqo ḳhastagī kī daad paane kī

Vo ham se bhī ziyāda ḳhasta-e-teġh-e-sitam nikle

 

Mohabbat meñ nahīñ hai farq jiine aur marne kā

Usī ko dekh kar jiite haiñ jis kāfir pe dam nikle

 

Kahāñ mai-ḳhāne kā darvāza ‘ġhālib’ aur kahāñ vaa.iz

Par itnā jānte haiñ kal vo jaatā thā ki ham nikle..

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *