Havas ko hai nashāt-e-kār kyā kyā
Na ho marnā to jiine kā mazā kyā
Tajāhul-peshgī se mudda.ā kyā
Kahāñ tak ai sarāpā naaz kyā kyā
Navāzish-hā-e-bejā dekhtā huuñ
Shikāyat-hā-e-rañgīñ kā gila kyā
Nigāh-e-be-mahābā chāhtā huuñ
Taġhāful-hā-e-tamkīñ-āzmā kyā
Faroġh-e-shola-e-ḳhas yak-nafas hai
Havas ko pās-e-nāmūs-e-vafā kyā
Nafas mauj-e-muhīt-e-be-ḳhudī hai
Taġhāful-hā-e-sāqī kā gila kyā
Dimāġh-e-itr-e-pairāhan nahīñ hai
Gham-e-āvārgī-hā-e-sabā kyā
Dil-e-har-qatra hai sāz-e-anal-bahar
Ham us ke haiñ hamārā pūchhnā kyā
Muhābā kyā hai maiñ zāmin idhar dekh
Shahīdān-e-nigah kā ḳhūñ-bahā kyā
Sun ai ġhārat-gar-e-jins-e-vafā sun
Shikast-e-qīmat-e-dil kī sadā kyā
Kiyā kis ne jigar-dārī kā daavā
Shakeb-e-ḳhatir-e-āshiq bhalā kyā
Ye qātil vāda-e-sabr-āzmā kyuuñ
Ye kāfir fitna-e-tāqat-rubā kyā
Balā-e-jāñ hai ‘ġhālib’ us kī har baat
Ibārat kyā ishārat kyā adā kyā…