Har qadam dūri-e-manzil hai numāyāñ mujh se
Merī raftār se bhāge hai bayābāñ mujh se
Dars-e-unvān-e-tamāshā ba-taġhāful ḳhush-tar
Hai nigah rishta-e-shīrāza-e-mizhgāñ mujh se
Vahshat-e-ātish-e-dil se shab-e-tanhā.ī meñ
Sūrat-e-dūd rahā saaya gurezāñ mujh se
Gham-e-ushshāq na ho sādgī-āmoz-e-butāñ
Kis qadar ḳhāna-e-ā.īna hai vīrāñ mujh se
Asar-e-ābla se jāda-e-sahrā-e-junūñ
Sūrat-e-rishta-e-gauhar hai charāġhāñ mujh se
Be-ḳhudī bistar-e-tamhīd-e-farāġhat ho jo
Pur hai saa.e kī tarah merā shabistāñ mujh se
Shauq-e-dīdār meñ gar tū mujhe gardan maare
Ho nigah misl-e-gul-e-shamā pareshāñ mujh se
Bekasī-hā-e-shab-e-hijr kī vahshat hai hai
Saaya ḳhurshīd-e-qayāmat meñ hai pinhāñ mujh se
Gardish-e-sāġhar-e-sad-jalva-e-rañgīñ tujh se
Aā.ina-dāri-e-yak-dīda-e-hairāñ mujh se
Nigah-e-garm se ek aag Tapaktī hai ‘asad’
Hai charāġhāñ ḳhas-o-ḳhāshāk-e-gulistāñ mujh se
Bastan-e-ahd-e-mohabbat hama nā-dānī thā
Chashm-e-nakushūda rahā uqda-e-paimāñ mujh se
Atish-afrozi-e-yak-shola-e-īmā tujh se
Chashmak-ārā.i-e-sad-shahr charāġhāñ mujh se…