Hajar musibat ke
Hajar musibat ke bad bhi hum sapno se lade hai
Jakhm gehre hai lekin apne pairo par khade hai,
Inn hawao ne mashakkat bahut ki thi hume giraane ki
Lekin kaanpte pankh liye badi shiddat se ude hai.
Kuch galtiyan kuch sawal me raat me gunguna raha tha
Main kuch naakamiyo ko dimag me saja raha tha,
kuch tute sapne saath chal diye mere
piche ek khubsurat khwab mujhe dekhkar muskura raha tha.
Mehenge waqt ke iss daur me
Ab wo muft ki khushiya kaha hai,
Gujarna aasan hai inn shamo ko…
Jo ek pal chain se so lene de ab wo raate kaha hai.
Khud se khud ko hi dur kare jaa raha hu me
Na jana konsi raah par chale jaa raha hu me,
Manjil to sabki ek hi hai….
dusro ko dekhkar chale ja raha hu me.
Ae zindagi tu aajkal bahut
Behki behki si baat krti hai,
Nasha usku najro ka pilakar
Mujhe hosh me rehne ki bat karti hai.
Also Read – इन थमे थमे इन लम्हों में | Real Shayari
Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm
Browse more content – http://www.needtricks.com
Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/
https://www.facebook.com/RealShaayari