Hai sabza-zār har dar-o-dīvār-e-ġham-kada
Jis kī bahār ye ho phir us kī ḳhizāñ na pūchh
Nā-chār bekasī kī bhī hasrat uThā.iye
Dushvāri-e-rah o sitam-e-ham-rahāñ na pūchh
Juz dil surāġh-e-dard ba-dil-ḳhuftagāñ na pūchh
A.īna arz kar ḳhat-o-ḳhāl-e-bayāñ na pūchh
Hindostān sāya-e-gul pā-e-taḳht thā
Jāh-o-jalāl-e-ahd-e-visāl-e-butāñ na pūchh
Ghaflat-matā-e-kaffa-e-mīzān-e-adl huuñ
Yā rab hisāb-e-saḳhti-e-ḳhvāb-e-girāñ na pūchh
Har dāġh-e-tāza yak-dil-e-dāġh-intizār hai
Arz-e-fazā-e-sīna-e-dard-imtihāñ na pūchh
Kahtā thā kal vo mahram-e-rāz apne se ki aah
Dard-e-judā.i-e-‘asad’-ullāh-ḳhāñ na pūchh
Parvāz-e-yak-tap-e-ġham-e-tasḳhīr-e-nāla hai
Garmī-e-nabz-e-nabz-e-ḳhār-o-ḳhas-e-āshiyāñ na pūchh
Tū mashq-e-bāz kar dil-e-parvāna hai bahār
Betābī-e-tajallī-e-ātish-ba-jāñ na pūchh…