Hai kis qadar halāk-e-fareb-e-vafā-e-gul
Bulbul ke kārobār pe haiñ ḳhanda-hā-e-gul
Azādī-e-nasīm mubārak ki har taraf
TuuTe paḌe haiñ halqa-e-dām-e-havā-e-gul
Jo thā so mauj-e-rañg ke dhoke meñ mar gayā
Ai vaa.e nāla-e-lab-e-ḳhūnīñ-navā-e-gul
Khush-hāl us harīf-e-siyah-mast kā ki jo
Rakhtā ho misl-e-sāya-e-gul sar-ba-pā-e-gul
Ijād kartī hai use tere liye bahār
Merā raqīb hai nafas-e-itr-sā-e-gul
Sharminda rakhte haiñ mujhe bād-e-bahār se
Mīnā-e-be-sharāb o dil-e-be-havā-e-gul
Satvat se tere jalva-e-husn-e-ġhuyūr kī
Khuuñ hai mirī nigāh meñ rañg-e-adā-e-gul
Tere hī jalve kā hai ye dhokā ki aaj tak
Be-iḳhtiyār dauḌe hai gul dar-qafā-e-gul
‘Ghālib’ mujhe hai us se ham-āġhoshī aarzū
Jis kā ḳhayāl hai gul-e-jeb-e-qabā-e-gul
Dīvānagāñ kā chāra faroġh-e-bahār hai
Hai shāḳh-e-gul meñ panja-e-ḳhūbāñ bajā.e gul
Mizhgāñ talak rasā.ī-e-laḳht-e-jigar kahāñ
Ai vaa.e gar nigāh na ho āshnā-e-gul.