www.realshayari.com

Gila hai shauq ko dil meñ bhī Tañgi-e-jā kā

Guhar meñ mahv huā iztirāb dariyā kā

Ye jāntā huuñ ki tū aur pāsuḳh-e-Maktūb

Magar sitam-zada huuñ zauq-e-Khāma-farsā kā

Hinā-e-pā-e-ḳhizāñ hai bahār agar hai yahī

Davām-e-kulfat-e-ḳhātir hai aish Duniyā kā

Gham-e-firāq meñ taklīf-e-sair-e-Bāġh na do

Mujhe dimāġh nahīñ ḳhanda-hā-e-Bejā kā

Hanūz mahrami-e-husn ko tarastā huuñ

Kare hai har-bun-e-mū kaam Chashm-e-bīnā kā

Dil us ko pahle hī nāz-o-adā se de baithe

Hameñ dimāġh kahāñ husn ke taqāzā kā

Na kah ki girya ba-miqdār-e-hasrat-e-dil hai

Mirī nigāh meñ hai jam-o-ḳharch dariyā kā

Falak ko dekh ke kartā huuñ us ko yaad ‘asad’

Jafā meñ us kī hai andāz kār-farmā kā

Mirā shumūl har ik dil ke pech-o-tāb meñ hai

Maiñ mudda.ā huuñ tapish-nāma-e-tamannā kā….

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *