Ghar Ka Raasta

ghar kā rasta bhī milā thā shāyad

raah meñ sañg-e-vafā thā shāyad

is qadar tez havā ke jhoñke

shāḳh par phuul khilā thā shāyad

jis kī bātoñ ke fasāne likkhe

us ne to kuchh na kahā thā shāyad

log be-mehr na hote hoñge

vahm sā dil ko huā thā shāyad

tujh ko bhūle to duā tak bhūle

aur vahī vaqt-e-duā thā shāyad

ḳhūn-e-dil meñ to Duboyā thā qalam

aur phir kuchh na likhā thā shāyad

dil kā jo rañg hai ye rañg ‘adā’

pahle āñkhoñ meñ rachā thā shāyad

ghar kā rasta bhī milā thā shāyad by Ada Jaffrey

Also Read – आप की याद आती रही | Real Shayari

Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

Browse more content – http://www.needtricks.com

Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

https://www.facebook.com/RealShaayari

Youtube – https://studio.youtube.com/channel/UCit4KK7fbOM0TUxFJNrkwtg/videos/upload?filter=%5B%5D&sort=%7B%22columnType%22%3A%22

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *