Ghair leñ mahfil meñ bose jaam ke
Ham raheñ yuuñ tishna-lab paiġhām ke
Khastagī kā tum se kyā shikva ki ye
HathkanDe haiñ charḳh-e-nīlī-fām ke
Khat likheñge garche matlab kuchh na ho
Ham to āshiq haiñ tumhāre naam ke
Raat pī zamzam pe mai aur sub.h-dam
Dho.e dhabbe jāma-e-ehrām ke
Dil ko āñkhoñ ne phañsāyā kyā magar
Ye bhī halqe haiñ tumhāre daam ke
Shaah ke hai ġhusl-e-sehhat kī ḳhabar
Dekhiye kab din phireñ hammām ke
Ishq ne ‘ġhālib’ nikammā kar diyā
Varna ham bhī aadmī the kaam ke