Gar ḳhāmushī se fā.eda iḳhfā-e-hāl hai
Khush huuñ ki merī baat samajhnī muhāl hai
Kis ko sunā.ūñ hasrat-e-iz.hār kā gila
Dil fard-e-jama-o-ḳharch Zabāñ-hā-e-lāl hai
Kis parde meñ hai ā.ina-pardāz ai ḳhudā
Rahmat ki uzr-ḳhvāh-e-lab-e-be-savāl hai
Hai hai ḳhudā-na-ḳhvāsta vo aur Dushmanī
Ai shauq-e-munfa.il ye tujhe kyā ḳhayāl hai
Mushkīñ libās-e-kāba alī ke Qadam se jaan
Nāf-e-zamīn hai na ki nāf-e-ġhazāl hai
Vahshat pe merī arsa-e-āfāq tañg thā
Dariyā zamīn ko araq-e-infi.āl hai
Hastī ke mat fareb meñ aa jā.iyo ‘asad’
Aalam tamām halqa-e-dām-e-ḳhayāl hai
Pahlū-tahī na kar ġham-o-andoh se ‘asad’
Dil vaqf-e-dard kar ki faqīroñ kā maal hai…