Galti meri thi,
Tune to har pal mujhe payar kiya,
or meine har pal tujhe bekraar kiya,
Galti meri thi,
Tune mujse maanga to kya bas saath mera,
Par meine nahin thaama kabhi haath tera,
Galti meri the,
Tu har waqt baat karne ko betaab rehti thi mujhse,
Lakin mein kabhi bhi keh na paya Haal-E-Dil tujhe,
Galti meri the,
Tune to itna bhi keh diya mein badati hun haath tum thaam lo,
Par majboori thi meri,aapne haathon se kaise deta tujhe zeher ka jaam ko,
Galti meri the,
Aaj mein chahata hun tum mujhe pyar karo,
Par aaj waqt tumahara hai jitna chaho mujhe bekraar karo,
Galti meri the,
Chahiye mujhe aaj bas saath tera,
Par pata hai mujhe tum na thamogi aab haath mera,
Galti meri the,
Tumse baat kaat karne ko tadapta hai dil hai har pal,
Jaanta hun tum no hongi aab rubaru mere yun he tadpunga mein har pal,
Galti meri the,
Haal-E-dil bayan karna chahta hu tumse aaj,
Bas ek aakhri baar mangta hun kuch tumse rakh lena mere is pyar ki laaj,
Galti meri the,
Aaj badal diya hai tere liye khudh ko,
Ek baar aawaaj de saamne payegi tu mujh ko,
Tu bhi samaj meri halat ko mat tadpa or mujhe,
Na aayi tu to mein bhi tabah kar lunga khud ko,
Fir mat kehna kisi se k,
Galti meri the.
Also Read – Real Shayari Maa Teri Yaad Satati Hai
Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm
Browse more content – http://www.needtricks.com
Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/
https://www.facebook.com/RealShaayari