realshayari

Gaī vo baat ki ho guftugū to kyūñkar ho

Kahe se kuchh na huā phir kaho to kyūñkar ho

Hamāre zehn meñ is fikr kā hai naam visāl

Ki gar na ho to kahāñ jaa.eñ ho to kyūñkar ho

 

Adab hai aur yahī kashmakash to kyā kiije

Hayā hai aur yahī gomago to kyūñkar ho

Tumhīñ kaho ki guzārā sanam-parastoñ kā

Butoñ kī ho agar aisī hī ḳhū to kyūñkar ho

 

Ulajhte ho tum agar dekhte ho ā.īna

Jo tum se shahr meñ hoñ ek do to kyūñkar ho

 

Jise nasīb ho roz-e-siyāh merā sā

Vo shaḳhs din na kahe raat ko to kyūñkar ho

 

Hameñ phir un se ummīd aur unheñ hamārī Qadr

Hamārī baat hī pūchheñ na vo to kyūñkar ho

 

Ghalat na thā hameñ ḳhat par gumāñ tasallī kā

Na maane dīda-e-dīdār jo to kyūñkar ho

 

Batāo us mizha ko dekh kar ki mujh ko qarār

Vo niish ho rag-e-jāñ meñ faro to kyūñkar ho

 

Mujhe junūñ nahīñ ‘ġhālib’ vale ba-qaul-e-huzūr

Firāq-e-yār meñ taskīn ho to kyūñkar ho…

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *