Fariyād kī koī lai nahīñ hai
Naala pāband-e-nai nahīñ hai
Kyuuñ bote haiñ bāġhbāñ toñbe
Gar baaġh gadā-e-mai nahīñ hai
Har-chand har ek shai meñ tū hai
Par tujh sī koī shai nahīñ hai
Haañ khā.iyo mat fareb-e-hastī
Har-chand kaheñ ki hai nahīñ hai
Shādī se guzar ki ġham na hove
Urdī jo na ho to dai nahīñ hai
Kyuuñ radd-e-qadah kare hai zāhid
Mai hai ye magas kī qai nahīñ hai
Hastī hai na kuchh adam hai ‘ġhālib’
Aḳhir tū kyā hai ai nahīñ hai..