FaqIh-e-shahr kI majlis se kuchh bhala na hua
ki us se mil ke mizaj aur kafirana hua
Abhi abhi vo mila tha hazar baten kiin
Abhi abhi vo gaya hai magar zamana hua
Vo raat bhuul chuko vo suḳhan na doharao
Vo raat ḳhvab hui vo suḳhan fasana hua
Kuchh ab ke aise kade the firaq ke mausam
Tiri hi baat nahin main bhi kya se kya na hua
Hujum aisa ki rahen nazar nahin atin
Nasib aisa ki ab tak to qafila na hua
Shahid-e-shab faqat ahmad-‘farāz’ hi to nahin
Ki jo charaġh-ba-kaf tha vahi nishana hua