realshayari

Ek ek qatre kā mujhe denā paḌā Hisāb

Khūn-e-jigar vadī.at-e-mizhgān-e-yār thā

Ab maiñ huuñ aur mātam-e-yak-shahr-Arzū

Todā jo tū ne aa.ina timsāl-dār thā

Galiyoñ meñ merī na.ash ko khīñche phiro ki maiñ

Jāñ-Dāda-e-havā-e-sar-e-rahguzār thā

Mauj-e-Sarāb-e-dasht-e-vafā kā na pūchh haal

Har zarra misl-e-jauhar-e-teġh āb-dār thā

Kam jānte the ham bhī ġham-e-ishq ko par ab

Dekhā to kam hue pa ġham-e-rozgār thā

Kis kā junūn-e-dīd tamannā-shikār thā

Aīna-ḳhāna vādi-e-jauhar-Ghubār thā

Kis kā ḳhayāl ā.ina-e-intizār thā

Har barg-e-gul ke parde meñ dil be-qarār thā

Juuñ ġhuncha-o-gul āfat-e-fāl-e-nazar na pūchh

Paikāñ se tere jalva-e-zaḳhm āshkār thā

Dekhī vafā-e-fursat-e-rañj-o-nashāt-e-dahr

Khamyāza yak-darāzi-e-umr-e-ḳhumār thā

Sub.h-e-qayāmat ek dum-e-gurg thī ‘asad’

Jis dasht meñ vo shoḳh-e-do-ālam shikār thā…

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *