Dukh fasana nahin ki tujh se kahen
Dil bhi maana nahin ki tujh se kahen
Aaj tak apni bekali ka sabab
Khud bhi jaana nahin ki tujh se kahen
Be-tarah hal-e-dil hai aur tujh se
Dostana nahin ki tujh se kahen
Ek tu harf-e-ashna tha magar
Ab zamana nahin ki tujh se kahen
Qasida ham faqir logon ka
Ik Thikana nahin ki tujh se kahen
Ai ḳhuda dard-e-dil hai baḳhshish-e-dost
Ab-o-dana nahin ki tujh se kahen
Ab to apna bhi us gali men ‘farāz’
Aana jaana nahin ki tujh se kahen