dost ban kar bhī nahīñ saath nibhāne vaalā
vahī andāz hai zālim kā zamāne vaalā
ab use log samajhte haiñ giraftār mirā
saḳht nādim hai mujhe daam meñ laane vaalā
sub.h-dam chhoḌ gayā nik.hat-e-gul kī sūrat
raat ko ġhuncha-e-dil meñ simaT aane vaalā
kyā kaheñ kitne marāsim the hamāre us se
vo jo ik shaḳhs hai muñh pher ke jaane vaalā
tere hote hue aa jaatī thī saarī duniyā
aaj tanhā huuñ to koī nahīñ aane vaalā
muntazir kis kā huuñ TuuTī huī dahlīz pe maiñ
kaun aa.egā yahāñ kaun hai aane vaalā
kyā ḳhabar thī jo mirī jaañ meñ ghulā hai itnā
hai vahī mujh ko sar-e-dār bhī laane vaalā
maiñ ne dekhā hai bahāroñ meñ chaman ko jalte
hai koī ḳhvāb kī tābīr batāne vaalā
tum takalluf ko bhī iḳhlās samajhte ho ‘Farāz’
dost hotā nahīñ har haath milāne vaalā