Dīvānagī se dosh pe zunnār bhī nahīñ
Yaanī hamāre jaib meñ ik taar bhī nahīñ
Dil ko niyāz-e-hasrat-e-dīdār kar chuke
Dekhā to ham meñ tāqat-e-dīdār bhī nahīñ
Milnā tirā agar nahīñ āsāñ to sahl hai
Dushvār to yahī hai ki dushvār bhī nahīñ
Be-ishq umr kaT nahīñ saktī hai aur yaañ
Tāqat ba-qadr-e-lazzat-e-āzār bhī nahīñ
Shorīdgī ke haath se hai sar vabāl-e-dosh
Sahrā meñ ai ḳhudā koī dīvār bhī nahīñ
Gunjā.ish-e-adāvat-e-aġhyār yak taraf
Yaañ dil meñ zo.af se havas-e-yār bhī nahīñ
Dar nāla-hā-e-zār se mere ḳhudā ko maan
Aḳhir navā-e-murġh-e-giraftār bhī nahīñ
Dil meñ hai yaar kī saf-e-mizhgāñ se rū-kashī
Hālāñki tāqat-e-ḳhalish-e-ḳhār bhī nahīñ
Is sādgī pe kaun na mar jaa.e ai ḳhudā
laḌte haiñ aur haath meñ talvār bhī nahīñ
Dekhā ‘asad’ ko ḳhalvat-o-jalvat meñ bār-hā
Dīvāna gar nahīñ hai to hushyār bhī nahīñ….