Dil se tirī nigāh jigar tak utar ga.ī
Donoñ ko ik adā meñ razā-mand kar ga.ī
Shaq ho gayā hai siina ḳhushā lazzat-e-farāġh
Taklīf-e-parda-dāri-e-zaḳhm-e-jigar ga.ī
Vo bāda-e-shabāna kī sarmastiyāñ kahāñ
Uthiye bas ab ki lazzat-e-ḳhvāb-e-sahar ga.ī
Udtī phire hai ḳhaak mirī kū-e-yār meñ
Baare ab ai havā havas-e-bāl-o-par ga.ī
Dekho to dil-farebi-e-andāz-e-naqsh-e-pā
Mauj-e-ḳhirām-e-yār bhī kyā gul katar ga.ī
Har bul-havas ne husn-parastī shi.ār kī
Ab ābrū-e-sheva-e-ahl-e-nazar ga.ī
Nazzāre ne bhī kaam kiyā vaañ naqāb kā
Mastī se har nigah tire ruḳh par bikhar ga.ī
Fardā o dī kā tafraqa yak baar miT gayā
Kal tum ga.e ki ham pe qayāmat guzar ga.ī
Maarā zamāne ne asadullāh ḳhaañ tumheñ
Vo valvale kahāñ vo javānī kidhar gaī