Dil munāfiq thā shab-e-hijr meñ soyā kaisā
Aur jab tujh se milā TuuT ke royā kaisā
Zindagī meñ bhī ġhazal hī kā qarīna rakkhā
Khvāb-dar-ḳhvāb tire ġham ko piroyā kaisā
Ab to chehroñ pe bhī katboñ kā gumāñ hotā hai
Añkheñ pathrā.ī huī haiñ lab-e-goyā kaisā
Dekh ab qurb kā mausam bhī na sarsabz lage
Hijr hī hijr marāsim meñ samoyā kaisā
Ek aañsū thā ki dariyā-e-nadāmat thā ‘Farāz’
Dil se bebāk shanāvar ko Duboyā kaisā