Dil mirā soz-e-nihāñ se be-muhābā jal gayā
Atish-e-ḳhāmosh kī mānind goyā jal gayā
Dil meñ zauq-e-vasl o yād-e-yār tak baaqī nahīñ
Aag is ghar meñ lagī aisī ki jo thā jal gayā
Maiñ adam se bhī pare huuñ varna ġhāfil bār-hā
Merī āh-e-ātishīñ se bāl-e-unqā jal gayā
Arz kiije jauhar-e-andesha kī garmī kahāñ
Kuchh ḳhayāl aayā thā vahshat kā ki sahrā jal gayā
Dil nahīñ tujh ko dikhātā varna dāġhoñ kī bahār
Is charāġhāñ kā karūñ kyā kār-farmā jal gayā
Maiñ huuñ aur afsurdagī kī aarzū ‘ġhālib’ ki dil
Dekh kar tarz-e-tapāk-e-ahl-e-duniyā jal gayā
Khānmān-e-āshiqāñ dūkān-e-ātish-bāz hai
Shola-rū jab ho ga.e garm-e-tamāshā jal gayā
Tā kujā afsos-e-garmī-hā-e-sohbat ai ḳhayāl
Dil ba-soz-e-ātish-e-dāġh-e-tamannā jal gayā
Hai ‘asad’ begāna-e-afsurdagī ai bekasī
Dil z-andāz-e-tapāk-e-ahl-e-duniyā jal gayā
Duud merā sumbulistāñ se kare hai ham-sarī
Bas-ki shauq-e-ātish-e-gul se sarāpā jal gayā
Sham.a-rūyāñ kī sar-añgusht-e-hinā.ī dekh kar
Ghuncha-e-gul par-fishāñ parvāna-āsā jal gayā…