Dil lagā kar lag gayā un ko bhī tanhā baiThnā
Bare apnī bekasī kī ham ne paa.ī daad yaañ
Haiñ zavāl-āmāda ajzā āfrīnash ke tamām
Mahr-e-gardūñ hai charāġh-e-rahguzār-e-bād yaañ
Hai tarahhum-āfrīñ ārā.ish-e-be-dād yaañ
Ashk-e-chashm-e-dām hai har dāna-e-sayyād yaañ
Hai gudāz-e-mom andāz-e-chakīdan-hā-e-ḳhūñ
Nīsh-e-zambūr-e-asal hai nashtar-e-fassād yaañ
Nā-gavārā hai hameñ ehsān-e-sāhab-daulatāñ
Hai zar-e-gul bhī nazar meñ jauhar-e-faulād yaañ
Jumbish-e-dil se hue haiñ uqda-hā-e-kār vā
Kam-tarīñ mazdūr-e-sañgīñ-dast hai farhād yaañ
Qatra-hā-e-ḳhūn-e-bismil zeb-e-dāmāñ haiñ ‘Asad’
Hai tamāsha kardanī gul-chīnī-e-jallād yaañ…..