Dil-girafta hī sahī bazm sajā lī jaa.e
Yād-e-jānāñ se koī shaam na ḳhālī jaa.e
Rafta rafta yahī zindāñ meñ badal jaate haiñ
Ab kisī shahr kī buniyād na Daalī jaa.e
Mus.haf-e-ruḳh hai kisī kā ki bayāz-e-hāfiz
Aise chehre se kabhī faal nikālī jaa.e
Vo muravvat se milā hai to jhukā duuñ gardan
Mere dushman kā koī vaar na ḳhālī jaa.e
Be-navā shahr kā saaya hai mire dil pe ‘Farāz’
Kis tarah se mirī āshufta-ḳhayālī jaa.e