realshayari

Dhotā huuñ jab maiñ piine ko us sīm-tan ke Paañv

Rakhtā hai zid se khīñch ke bāhar lagan ke Paañv

 

Dī sādgī se jaan padūñ kohkan ke Paañv

Haihāt kyuuñ na TuuT ga.e pīr-zan ke Paañv

 

Bhāge the ham bahut so usī kī sazā hai ye

Ho kar asiir dābte haiñ rāhzan ke paañv

Marham kī justujū meñ phirā huuñ jo dur dur

Tan se sivā figār haiñ is ḳhasta-tan ke Paañv

 

Allāh-re zauq-e-dasht-navardī ki ba.ad-e-marg

Hilte haiñ ḳhud-ba-ḳhud mire andar kafan ke Paañv

 

Hai josh-e-gul bahār meñ yaañ tak ki har taraf

Udte hue ulajhte haiñ murġh-e-chaman ke Paañv

Shab ko kisī ke ḳhvāb meñ aayā na ho kahīñ

Dukhte haiñ aaj us but-e-nāzuk-badan ke Paañv

 

‘Ghālib’ mire kalām meñ kyūñkar mazā na ho

Piitā huuñ dhoke ḳhusrav-e-shīrīñ-suḳhan ke Paañv….

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *