gajalc2

Chashm-e-ḳhūbāñ ḳhāmushī meñ bhī navā-Pardāz hai

Surma to kahve ki dūd-e-shola-e-Avāz hai

Paikar-e-ushshāq sāz-e-tāla-e-nā-Sāz hai

Naala goyā gardish-e-saiyyāra kī Avāz hai

Dast-gāh-e-dīda-e-ḳhūñ-bār-e-majnūñ dekhnā

Yak-bayābāñ jalva-e-gul farsh-e-pā-Andāz hai

Chashm-e-ḳhūbāñ mai-farosh-e-nashshah-zār-e-nāz hai

Surma goyā mauj-e-dūd-e-shola-e-āvāz hai

Hai sarīr-e-ḳhāma rezish-hā-e-istiqbāl-e-Nāz

Nama ḳhud paiġhām ko bāl-o-par-e-Parvāz hai

Sar-navisht-e-iztirāb-anjāmi-e-Ulfat na pūchh

Nāl-e-ḳhāma ḳhār-ḳhār-e-ḳhātir-e-Aġhāz hai

Shoḳhi-e-iz.hār ġhair-az-vahshat-e-Majnūñ nahīñ

Lailā-e-manī ‘asad’ mahmil-nashīn-e-rāz hai…

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *