Chand nikle kisī janib tiri zebai ka
Rañg badle kisi surat shab-e-tanhai ka
Daulat-e-lab se phir ai ḳhusrav-e-shirin-dahanan
Aaj arzan ho koi harf shanasai ka
Garmi-e-rashk se har anjuman-e-gul-badanan
Tazkira chheḌe tiri pairahan-arai ka
Sehn-e-gulshan men kabhi ai shah-e-shamshad-qadan
Phir nazar aa.e saliqa tiri raanai ka
Ek baar aur masiha-e-dil-e-dil-zadagan
Koi vaada koi iqrar masihai ka
Diida o dil ko sambhalo ki sar-e-shām-e-firaq
Saz-o-saman baham pahuncha hai rusvai ka