Chalo aaj door kahin chalte hain, kisi duniya mein nayi,
Jahan yaadon ke samundar jharne se milte hai kahin,
Baarish ki bundon ko sheep sajaa baitha hai jahan,
Ya jahan os ki bundon mein rang nazar aate hain kai.
Bhavre aate geet gate aaye phulon ko satane akele,
Ya jugnu aaye hain fizaon ko jagmagane wahin,
Door us unchi chattanon ko dekho,
Vahan se aai in hawaon mein jhum jao kahin,
Barf se dhaki un chadaron ko dekho,
Sone si chamakti in daliyon preet nayi.
Ye dhun badi suhani, bahut hi gazab hai,
Har lafz jiska bada hi besabab hai,
Ye kahani jo aksar zuban pe thi basi mere,
Ye sapno ki duniya meri bahut hi ajab hai.