Chale the yaar baḌe zo.am meñ havā kī tarah
PalaT ke dekhā to baiThe haiñ naqsh-e-pā kī tarah
Mujhe vafā kī talab hai magar har ik se nahīñ
Koī mile magar us yār-e-bevafā kī tarah
Mire vajūd kā sahrā hai muntazir kab se
Kabhī to aa jaras-e-ġhuncha kī sadā kī tarah
Vo ajnabī thā to kyuuñ mujh se pher kar āñkheñ
Guzar gayā kisī derīna āshnā kī tarah
Kashāñ kashāñ liye jaatī hai jānib-e-manzil
Nafas kī Dor bhī zanjīr-e-be-sadā kī tarah
‘Farāz’ kis ke sitam kā gilā kareñ kis se
Ki be-niyāz huī ḳhalq bhī ḳhudā kī tarah