Chaak kī ḳhvāhish agar Vahshat ba-Uryānī kare
Sub.h ke mānind zaḳhm-e-dil Garebānī kare
Jalve kā tere vo aalam hai ki gar kiije Khayāl
Dīda-e-dil ko ziyārat-gāh-e-hairānī kare
Hai shikastan se bhī dil naumīd yā rab kab Talak
Abgīna koh par arz-e-girāñ-jānī kare
Mai-kada gar chashm-e-mast-e-nāz se Paave Shikast
Mū-e-shīsha dīda-e-sāġhar kī mizhgānī kare
Khatt-e-āriz se likhā hai zulf ko Ulfat ne ahd
Yak-qalam manzūr hai jo kuchh pareshānī kare…