Dekhna Qismat Ki Aap Apne Pe Rashk Aa Jae Hai
Dekhnā qismat ki aap apne pe rashk aa jae hai Maiñ use dekhūñ bhalā kab mujh se dekhā jae hai Haath dho dil se yahī garmī gar Andeshe meñ hai…
Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm
Dekhnā qismat ki aap apne pe rashk aa jae hai Maiñ use dekhūñ bhalā kab mujh se dekhā jae hai Haath dho dil se yahī garmī gar Andeshe meñ hai…
Dekh kar dar-Parda garm-e-Dāman-Afshānī mujhe Kar ga.ī vābasta-e-tan merī Uryānī mujhe Ban gayā teġh-e-nigāh-e-yār kā sañg-e-fasāñ Marhabā maiñ kyā mubārak hai girāñ-jānī mujhe Kyuuñ na ho be-iltifātī us kī ḳhātir…
Dar-ḳhūr-e-Qahr-o-Ghazab jab koī ham sā na huā Phir ġhalat kyā hai ki ham sā koī paidā na huā Bandagī meñ bhī vo Azāda o ḳhud-bīñ haiñ ki ham UlTe phir…
Dard se mere hai tujh ko be-qarārī hae hae Kyā huī Zālim tirī ġhaflat-shi.ārī hae hae Tere dil meñ gar na thā āshob-e-ġham kā hausla Tū ne phir kyuuñ kī…
Dahr meñ naqsh-e-vafā vajhe-tasallī na huā Hai ye vo lafz ki sharminda-e-manī na huā Sabza-e-ḳhat se tirā kākul-e-sarkash na dabā Ye zamurrad bhī harīf-e-dam-e-afī na huā Maiñ ne chāhā thā…
Chashm-e-ḳhūbāñ ḳhāmushī meñ bhī navā-Pardāz hai Surma to kahve ki dūd-e-shola-e-Avāz hai Paikar-e-ushshāq sāz-e-tāla-e-nā-Sāz hai Naala goyā gardish-e-saiyyāra kī Avāz hai Dast-gāh-e-dīda-e-ḳhūñ-bār-e-majnūñ dekhnā Yak-bayābāñ jalva-e-gul farsh-e-pā-Andāz hai Chashm-e-ḳhūbāñ mai-farosh-e-nashshah-zār-e-nāz hai…
Chāhiye achchhoñ ko jitnā chāhiye Ye agar chāheñ to phir kyā chāhiye Sohbat-e-rindāñ se vājib hai Hazar Jā-e-mai apne ko khīñchā chāhiye Chāhne ko tere kyā samjhā thā Dil Bare…
Chaak kī ḳhvāhish agar Vahshat ba-Uryānī kare Sub.h ke mānind zaḳhm-e-dil Garebānī kare Jalve kā tere vo aalam hai ki gar kiije Khayāl Dīda-e-dil ko ziyārat-gāh-e-hairānī kare Hai shikastan se…
Bisāt-e-ijz meñ thā ek dil yak qatra ḳhuñ vo bhī So rahtā hai ba-andāz-e-chakīdan sar-Nigūñ vo bhī Rahe us shoḳh se āzurda ham chande Takalluf se Takalluf bartaraf thā ek…
Bīm-e-raqīb se nahīñ karte vida-e-Hash Majbūr yaañ talak hue ai iḳhtiyār Hif Jaltā hai dil ki kyuuñ na ham ik baar Jl ga.e Ai nā-tamāmi-e-nafas-e-shola-bār Haif