Fir nahi aayega yeh waqt
Fir nahi aayega yeh waqt Jo tum taal rahe ho, Nahi jaante ki dheere se hi sahi Hume kho rahe ho.
Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm
This category contains Love and Relationships advice. This category would be very effective for people seeking for Love and Relationships advice.
Fir nahi aayega yeh waqt Jo tum taal rahe ho, Nahi jaante ki dheere se hi sahi Hume kho rahe ho.
Tum jab aaogey toh khoya hua paogey mujhe, Meri Zindagi mein ab khwaabo ke alava kuch nhi hai.
Mitaane ki koshish toh dono ne ki, Humne faaslo ko aur unhone humare vajood ko.
Dil pe jami dhul ko kabhi toh saaf karo, Kisi se maafi maango toh kisiko maaf karo.
Kisi ka Dil mat dukhana kabhi, Na jaane uske aansu lab tumhare liye saza ban jaye.
Kaafi masruf ho shayad Jo Hume bhool baithe ho, Na yeh jaana ki kis haal mein ho, Na yeh pucha ki kaise ho.
Humne kab tumse jahaan maanga tha, Bas Sach bolte itna hi chaha tha.
Kyu le rahe ho jaan Yun hokar madhosh, Ek baar keha hota, Luta dete hum sab kuch yuhi hokar madhosh.
Unki aankhon mein humne khudko dekha, Mohobbat mein shiddat Kya hoti hai humne tab jaana.
Meri khaamoshi mein bhi hazaar baatein thi, Tum sun ne vale toh bante, Dil iss qadar khaali Kar diya Mera, Kabhi zikr-e-ehsaas toh Karte.