Is Paymane Me Jhuk Jati Hai Nazar
Is paymane me jhuk jati hai nazar, Jisme garuur bhi ho to haya ke sath..! Aksar log milte hai hume, Jinke nazar bhi behosh rehti hai..!!
Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm
This category contains Love and Relationships advice. This category would be very effective for people seeking for Love and Relationships advice.
Is paymane me jhuk jati hai nazar, Jisme garuur bhi ho to haya ke sath..! Aksar log milte hai hume, Jinke nazar bhi behosh rehti hai..!!
Suna hai har khwabon ki tamer tere husn se hoti hai..! Bas aik aaina thodi na mukammal hai tere husn ke sath..!!
Rasam-e-muhabbat gulal hojaegi..! Haseen to pehle se thi, aik rubabi chal hojaegi..!! Nigahon me sitaron sa khud ko saza lu mai..! Raat ki chamak me haseen sham hojaegi..!!
Muskura ker jo tera, vo palat ker dekhna..! Ninde gae aur chain bhi, ruh-he-falak bhi kho gae..!!
Nahi talash mujhe uski jo mujhe sahara de..! Mujhe uski talash hai jo usse pehle hi mera hath tham le..!!
Kadar us chand ki sabne ki, Jo sabki pahuch se duur hai..! Mera chand to mere pas hai, khafa hai thoda aur kamoshi ka saruur hai..!!
Na Rah ye aasan na manzil kareeb hai..! Mukhtasar si hai zindagi, aur Khwab ajeeb hai..!!
Is oos ki thandi bundo ko , in ankho se lipat jane dona..! Apne dil ke paimane me zara hume bhi bikhar jane dona..!!
Tu Ishque hai, mera saruur hai, Phir bhi mujhe na ye garuur hai..! Teri Chahat ke samundar me duuba rahun is kadar, meri sonch ke samundar me bas tuhi mashguul…
Nigahen bolti hai aksar, suna hai maine..! Phir tune kyu nhi suni abtak, ye bata mujhko..!!