Dhadakta hai Dil Mera
Dhadakta hai Dil Mera aaj bhi vaise hi Tere khyaal se, Par ab bardash nahi hoti Teri berukhi, Roshan ho jati Zindagi Tere aane se, Par ab nahi daalna chahte…
Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm
Collection of real and authentic Shayari by Authors across the globe.
Dhadakta hai Dil Mera aaj bhi vaise hi Tere khyaal se, Par ab bardash nahi hoti Teri berukhi, Roshan ho jati Zindagi Tere aane se, Par ab nahi daalna chahte…
Agar fitrat hamari sehne ki na hoti, Toh himmat tumhari kuch kehne ki na hoti.
Galat fehmiyo ne doori aisi paida ki, Teri Meri Kahani adhoori hi reh gayi.
Maana Tere Mera milna khwab hai, Par tu hi toh Mera ehsaas hai.
Sabar mohobbat ki tehzeeb hai, Fir bhi kehte ho bezubaan hai hum.
Meri aankhon se behta ye dariya dekho, Fir bhi Mere jeene ka nazariya dekho.
Ab Kya shikwa kare khudki kismat se, Log vaada karke bewafa ho jate hai.
Fir nahi aayega yeh waqt Jo tum taal rahe ho, Nahi jaante ki dheere se hi sahi Hume kho rahe ho.
Tum jab aaogey toh khoya hua paogey mujhe, Meri Zindagi mein ab khwaabo ke alava kuch nhi hai.
Mitaane ki koshish toh dono ne ki, Humne faaslo ko aur unhone humare vajood ko.