Lafzon ki tarah mujhse kitabon mein mila Kar
Lafzon ki tarah mujhse kitabon mein mila Kar, Duniya ka tujhe darr hai toh khwabon mein mila Kar, Sahil ko chu Kar tujhe mehsus karlunga, Tu mujhe lehron ki tarah…
Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm
Collection of Real Shayari in Love Category
Lafzon ki tarah mujhse kitabon mein mila Kar, Duniya ka tujhe darr hai toh khwabon mein mila Kar, Sahil ko chu Kar tujhe mehsus karlunga, Tu mujhe lehron ki tarah…
Tere sheher, Tere khyaal se Tak nikal jaunga, Tu Jo mukar Gaya hai apni har baat see, Dekhna ek din main bhi badal jaunga.
Main aksar kehta tha tumse, Ki Dekho yeh waqt ki saazishe zaalim hai, Aur dekho tumse Milne ka khwab tha, Khwab hi reh Gaya.
Muddato baad aaj dekha usse, Phir aankho ka dariya hum bhar aaye, Dhadkane tez Hui beshaq , Purane zakhm aaj phir bhar aaye.
Khush hu Teri khushi dekh Kar, Roshan hu Teri roshini deekh Kar, Kabhi toh Meri hasi ki parwah Kar, Meri saansein chalti hai teri muskan dekh Kar.
Intezaar raha aaj bhi Tere laut aane ka, Kisi aur ki jagir main hua bhi nahi, Main Marr toh Gaya hu, Par qabar mein soya nahi.
Main tabah hu Tere ishq mein, Tujhe kisi beqadar ka khyal hai, Kabhi toh mere masle par bhi gaur Kar, Ye zindagi aur maut ka sawaal hai.
Yeh soch Kar sath na chhod Dena, Ki uske paas kuch nhi tumhe dene ko, Bas yeh soch Kar sath nibhana, Ki uske paas kuch nahi tumhare Siva khone ko.
Kabhi kabhi gussa muskurahat see zyada khaas hota hai, Kyuki muskurahat to sabke lye hoti hai, Par gussa sirf unke liye hota hai jinko hum Dil see chahte hai.
Hum logo se sirf tab Tak ladte hai jab Tak Hume unse pyaar ki umeed hoti hai, Umeed khatam ho jati hai toh ladne ki vajah bhi dur chali jati…