Humne toh manzil ki chah ki thi
Humne toh manzil ki chah ki thi, Raasta toh ussi ne dikhaya, Jab saath chhod Gaye the sab, Akele nahi hum bharosa ussi ne dilaya.
Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm
Collection of Real Shayari in life Category
Humne toh manzil ki chah ki thi, Raasta toh ussi ne dikhaya, Jab saath chhod Gaye the sab, Akele nahi hum bharosa ussi ne dilaya.
Unki aankhon mein humne khudko dekha, Mohobbat mein shiddat Kya hoti hai humne tab jaana.
Baaz dafa socha Kya yeh sab hona zaruri tha, Tab Allah ne kaha tera guroor yuhi tootna tha.
Qismat aur waqt ke aage toh tu kuch bhi nahi, Fir Kyu tu Kal ki sochke apne aaj pe rota hai.
Mausam aaye, Mausam Gaye, Jo paas hokar bhi dur the vo chhut Gaye, Jo mohobbat se bandhe the vo reh Gaye.
Waqt ka daam badh Gaya hai, Jiski taseer thi mitti ki vo bhi aasman pe chadh gya hai.
Meri khaamoshi mein bhi hazaar baatein thi, Tum sun ne vale toh bante, Dil iss qadar khaali Kar diya Mera, Kabhi zikr-e-ehsaas toh Karte.
Dil jaanta tha ki vo lautke nahi aayega, Fir bhi humne khudko dur kiya iss umeed mein, Ki der se hi sahi, Kabhi toh vo Hume pukarega.
Maine Zindagi mein na jaane kya kya khoya, Har baar thokar kha Kar khoob Roya, Tab allaA ne kaha khudko tu akela ab kabhi nahi payega, Tera saccha dost har…
Meri lakh minnaton ke baad bhi nahi badle tum, Chalo ab hum hi apne andaaz badal lenge, Yaad karke uss hasi ko tadpogey tum, Hum khaamoshi se ghut kar jee…