Fir nahi aayega yeh waqt
Fir nahi aayega yeh waqt Jo tum taal rahe ho, Nahi jaante ki dheere se hi sahi Hume kho rahe ho.
Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm
Collection of Real Shayari in life Category
Fir nahi aayega yeh waqt Jo tum taal rahe ho, Nahi jaante ki dheere se hi sahi Hume kho rahe ho.
Tum jab aaogey toh khoya hua paogey mujhe, Meri Zindagi mein ab khwaabo ke alava kuch nhi hai.
Mitaane ki koshish toh dono ne ki, Humne faaslo ko aur unhone humare vajood ko.
Kisiko itna bhi mat jaano ki juda ho jaye, Ek gufllat si rehne do rishton mein.
Dil pe jami dhul ko kabhi toh saaf karo, Kisi se maafi maango toh kisiko maaf karo.
Kisi ka Dil mat dukhana kabhi, Na jaane uske aansu lab tumhare liye saza ban jaye.
Kaafi masruf ho shayad Jo Hume bhool baithe ho, Na yeh jaana ki kis haal mein ho, Na yeh pucha ki kaise ho.
Bas ab jeene ka andaaz kuch yun rakho, Jo nahi samajhte unhe Nazar andaaz karo.
Humne kab tumse jahaan maanga tha, Bas Sach bolte itna hi chaha tha.
Hasi aati hai mujhe tere iss qadar itrane pe ae dost, Yaad Kar tujhe khaak se utha Kar falak pe baithaya kisne hai.