Bisāt-e-ijz meñ thā ek dil yak qatra ḳhuñ vo bhī
So rahtā hai ba-andāz-e-chakīdan sar-Nigūñ vo bhī
Rahe us shoḳh se āzurda ham chande Takalluf se
Takalluf bartaraf thā ek andāz-e-junūñ vo bhī
Khayāl-e-marg kab taskīñ dil-e-āzurda ko Baḳhshe
Mire dām-e-tamannā meñ hai ik said-e-zabūñ vo bhī
Na kartā kaash naala mujh ko kyā Mālūm thā Hamdam
Ki hogā bā.is-e-afzā.ish-e-dard-e-Darūñ vo bhī
Na itnā burrish-e-teġh-e-jafā par naaz farmāo
Mire dariyā-e-be-tābī meñ hai ik mauj-e-Khūñ vo bhī
Mai-e-ishrat kī ḳhvāhish sāqi-e-gardūñ se kyā kiije
Liye baiThā hai ik do chaar jām-e-vāzh-gūñ vo bhī
Mire dil meñ hai ‘ġhālib’ shauq-e-vasl o shikva-e-hijrāñ
Khudā vo din kare jo us se maiñ ye bhī kahūñ vo bhī
Mujhe ma.alūm hai jo tū ne mere haq meñ sochā hai
Kahīñ ho jaa.e jald ai gardish-e-gardūn-e-dūñ vo bhī
Nazar rāhat pe merī kar na va.ada shab ke aane kā
Ki merī ḳhvāb-bandī ke liye hogā fusūñ vo bhī…